Makroohat e Namaz

Something does not doing during namaz because these are makru for namaz. If someone done in pray namaz those things their prayer will not done. They should pray namaz. So be careful and read carefully which are not done during namaz.

Namaz ke Mustahbaat:

1. Agar chadar urhe to kaanon tak hath uthane ke liye mardon ko chadar se hath nikalna

2. Jahan tak mumkin ho khansi ko rokna

3. Jamayi aaye to munh band karna

4. Khare hone ki halat mein sijdah ki jagah aur ruku mein qadmon par aur sijdon mein naak par aur qaadah(baithne) mein god mein aur salam ke waqt kandhon par nazar rakhna.

Makruhat-e-Namaz:

Yeh cheezen namaz mein makru hain

1. Kokh par hath rakhna

2. Aasteen se bahir hath nikale rakhna

3. Kapra sametna

4. Jism ya kapre se khailna

5. Ungliyan(finger) chatkhana

6. Dayain bayain garden morna

7. Mard ko jura gundh kar namaz parhna

8. Angrayi lena

9. Kutte ki tarah baithna

10. Mard ko sijde mein hath zameen par bichana

11. Sijde mein mardon ke liye pait ko ranon se milana

12. Beghair uzar ke charon zano (aalti paalti mar kar ) baithna

13. Imam ka mehrab ke andar khara hona

14. Saf se alihda tanha khara hona

15. Samne ya sar par tasweer hona

16. Tasweer wale kapre mein namaz parhna

17. Kandhon par chadar ya koi kapra latkana

18. Peeshab ya pakhana ya ziadha bhuk ka taqaza hote huye namaz parhna

19. Sar khol kar namaz parhna (Yeh karahat ka hokum mardon ka hai. Aurat sar khol kar namaz parhe gi to namaz na hogi).

20. Aankhain band kar ke namaz parhna.

posted from Bloggeroid

About M Yaseen Khan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 comments:

Post a Comment