Islamic Articles

Nawafil which is pray after the Isha Namaz, after awake from sleep in the night that namaz is called tahjjud. Night nawafil is better than day nawafil. Here is describe about Tahajjud Namaz in Urdu.


Tahajjud Namaz ka Tarika:

Jo nawafil isha ki namaz parhne ke baad raat so kar uthne ke baad parhe jaate hain un ko tahajjud kaha jata hai. Aur raat ke nawafil din ke nawafil se afzal hain. Sahi muslim mein marfu-an hai “ farzon ke baad afzal namaz raat ki namaz hai.

Tahajjud ke Liye Sona Shart Hai:

salatul lail ki aik qisam tahajjud hai keh isha ke baad raat mein so kar uthain aur nawafil parhain sone se qabal jo kuch parhain woh tahajjud nahi.

Tahajjud ki Rikatain:

Kum az kum tahajjud ki do rikatain hain aur hazrat Muhammad (SAW) se 8 tak sabit hain.

Tahajjud ki Surtain:

Aala Hazrat Molana Shah Ahmad Raza Khan(RA) farmate hain “ tahajjud mein ho sakay to jitna Quran yaad hai woh tamam parh lein. Warnah yeh bhi ho sakta hai keh har rikat mein surah fatiha ke baad teen teen bar surah Ikhalaas parh lein keh is tarah har rikat mein Quran khatam karne ka sawab mile ga” aisa karna behtar hai. waise tahajjud mein surah fatiha ke baad koi si bhi surtain parh sakte hain. Koi qaid nahi.

Dolat Tahajjud ki Char (4) Zahiri Shartain:

Shub mein bedaar ho kar tahajjud ada karna aur ibaadat mein mashghul hona agar che dushwar hai magar jo log mandarjah zeel sharait ke paband hote hain un ko har shub yeh dolat hasil karna ziadah dushwar nahi hota hai is ke hosul ke waste 4 shartain zahiri hain aur 4 batini.

Raat Mein Uthane ki 4 Zahiri Sharatain Yeh Hain:

1. Kum khana keh ziadah khane ki wajah se pani ziadah piya jaye ga jis se neend ghalib hogi aur shab mein uthna gira’n hoga.
2. Din mein is qadar shaaq kaam na kare’n jis se aaza mein madgi aur aasab mein kamzori paida ho jaye is liye keh is se bhi neend ka ghalbah hota hai.
3. Din mein qelulah tark na kare keh qiyam-e-shub mein madad punchane ke waste sunnat hai.
4. Tamam sharton se ahum shart yeh hai keh gunahon ka irtekaab na kare keh is se qalb mein qasawat (yani sakhti ) paida hoti hai jo neend aur asbaab-e-rehmat ke darmiyan hail hojati hai.

Raat Mein Uthne ki 4 Batini Shartain Yeh Hain:

1. Qalb ko kinah muslim se paak aur fazul deenwi zikron se saaf rakhain warnah bedari naseeb bhi huyi to bahalat-e-namaz yahi kheyalaat dil mein ayain gay.
2. Qalb mein khof-e-ilahi hone ke sath sath dinwi aarzuyon ki kami bhi ho.
3. Aayat Quraani-o-ahadees nabwi (SAW) aur aslaaf ke aqwaal se qiaam shab ki fazilat maalum karein takeh raghbat mustahkam ho jaye.
4. Hub-be-ilahi aur yeh towajjah rakhain mera parwardigar mere tamam ahwaal par muttalla hai. yeh batini sharton mein sab se ahum hai.

Tahajjud ki Fazilat:

1. Tahajjud ki namaz jahannum ki aag ko bujhati hai.
2. Tahajjud guzar log salamti ke sath jannat mein daakhil hon gay.
3. Tahajjud Qabar ki wahshat se bachata hai.
4. Raat mein jab sub sorahe hon us waqt Allah ki ibaadat karna nehayat hi azeem sayadat hai. Na maalum kon si ghari maqbulyat ki ho aur hamari aakhrat sanwar jaye.
5. Aadhi raat ke waqt do rikat parhna din ki har azeem nemat se bhi azeem tareen nemat hai.
6. Raat ki ibaadat hamesha neik logon ka maamul rahi hai aur yeh Allah taala ke qurb ka zareeya hi hai. aur gunahon ka kuffarah bhi. Nez is se jismaani bimaariyan bhi dur hoti hain.

posted from Bloggeroid

About M Yaseen Khan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 comments:

Post a Comment