Namaz Jumma
Namaz jumma pray in friday at the time of zuhar namaz. namaz jummah has 14 rikkats in which 4 sunnat, 2 farz pray with the imam then 4 sunnat, 2 sunnat and 2 nafil. More detail read in bellow.
Namaz Jumma:
Jumma ke din zuhar ke waqt namaz zuhar ki bajaye namaz jumaa parhte hain jis ki chodah rikkatain hain pehle char sunnatein phir do farz imam ke sath phir char sunnatain phir do sunnatain phir do nafil.
Khas Khas Batain:
Namaz jumma auraton par farz nahi woh is ki jagah namaz zuhar parhein.
Namaz jummah ke liye jamait zaruri hai bela jamait ada nahi hoti agar kisi ko imam ke sath namaz jumma na mile to is ki jagah namaz zuhar parhe.
Nafil namaz ka hokum yeh hai ke is ko parhe to buhat sawab paye aur na parhe to gunah na ho ga magar sawab se mehrum hoga. Ghair moaqqada sunnaton ka bhi yahi hokum hai. rikaton ke biyan mein jin sunnaton ka zikar hua hai in mein asar ke farzon aur isha ke farzon se pehle jo char sunnatain hain who ghair moakkada hain in ke elawa baqi sab sunnatain moakkadah hain yani in ki buhat takeed aayi hai. In ko zarur parho. Han marz ki buhat ziadah takleef ho ya safar mein buhat jaldi ho, train, bus, aroplane chutne wala ho to moaqqada sunnatain chorne ki bhi gunjaish hai.
Farz aur witar kabhi kisi hal mein chor ne ki ijazat nahi. In ka chor na buhat bara gunah hai. namaz witr wajib hai jis ka martabah farzon ke qareeb hai.
Hadees: Farmaya pyare Rasul (SAW) ne keh jis shakhs ne bila uzer jummah chor di who aisi kitab mein munafiq likh dia jaye ga jis ka likha hua na mite ga na badle ga.

posted from Bloggeroid
0 comments:
Post a Comment