There are five fundamental principles of Islam, they are the declaration of La-ila-ha-il-lal-la-hu mu-ham-ma-dur ra-sul-lah, prayers five times a dey,Roza (fast), Zakat and perform Haj at Makkah. Here is describing about Roza in detail in Urdu.
Roza in Urdu:
Roza Farz Hone ki Wajah:
Islam mein aksar amal kisi na kisi ruh parwar waqiyah ki yaad taza karne ke liye moqarrar kiye gaye hain. Maslan safa aur marwah ke darmiyan hajiyon ki sayi hazrat Syadana Hajrah(R.A) ke in ki donon paharon ke darmiyan sayi ki yaad ko tazah karte hain. Aap ne apne lakhte jigar Hazrat-e-Syadana Ismaeel (AS) ke liye pani talash karne ke liye in donon paharon ke darmiyan sayi ki thi. Allah ko Hazrat-e-Syadana ki yeh ada pasand aagayi. Lehaza isi sunnat-e-Hajrah ko Allah Taala ne baqi rakhte huye hajiyon ke liye safa marwa ki sayi ko lazmi qarar de dia. Isi tarah ayam Ramazan mein se kuch din hamare pyare nabi Hazrat Muhammad (SAW) ne ghar-e-Hira mein guzare the. In dinon mein aap din ko khane se parhaiz karte the aur raat ko zikar-e-ilahi mein mashghul rehte the to Allah taala ne un dinon ki yaad tazah karne ke liye rozay farz kiye.
Roza Kis Par Farz Hai:
Toheed risalat ka iqraar karne aur tamam zaruryaat deen par imaan lane ke baad jis tarah har musalman par namaz farz qarar di gayi hai. isi tarah ramazan shareef ke roze bhi har musalman mard-o-aurat aaqil baligh par farz hain.Bachon ko Rozah Kab Rakhwaya Jaye:Apne bachon ko bhi jaldi jaldi roza rakhne ki aadat dalwayain. Takeh jab woh baligh ho jayain to unhain rozah rakhne par dushwari na ho chunancha faqhaye karam farmate hain, bacha ki umer 10 saal ki ho jaye aur us mein rozah rakhne ki taqat ho to us se maah Ramazan-ul-Mubarak mein rozah rakhwaya jaye. Agar puri taqat hone ke bawajud na rakhe to maar kar rakhwayain. Agar rakh kar tor dia to qaza ka mokam na dain gay. Aur namaz tore to phir parhwayain.Roza ki Jaza:Allah taala ne farmaya roza woh to mere liye hai aur us ki jaza mein khud don ga. Allah taala ka mazeed irshad hai, bandah apni khuwahish aur khane ko sirf meri wajah se tark karte hai. Rozah dar ke liye do khushyan hain. Aik iftar ke waqt aur aik apne Rub se milne ke waqt. Aur rozah dar ke munh ki bu Allah taala ke nazdeek mushk se ziadah pakeezah hai. aur rozah dhal hai aur jab kisi ke rozah ka din ho to nah be hudah bake aur nah hi chikhay phir agar koi aur shakhsh is se gali galuch kare ya larne par amadah hoto yeh keh de main rozah dar hon.Aik Rozah Chorne ka Noqsaan:Jahan rozah rakhne ke be shumar fazail hain wahin be ghair kisi sahi majburi ke ramzaan-ul-mubarak ka rozah tark karne par sakht waeedain bhi hain. Ramzan shareef ka aik rozah jo bila kisi uzer sharyi ke jaan bujh kar chor day to aik hadees ke mutabiq usay no laakh saal jahannum ki aag mein jalna parhe ga. Nez jis ne aik rozah zayah kar dia to ab umer bhar bhi agar roze rakhta hai tab bhi us choray huye roze ki fazilat nahi pasakta.Hazrat Syadana Abu Hurairah (R.A) se rawayat hai keh Hazarat Muhammad (SAW) farmate hain, jis ne Ramazan ke aik din ka rozah beghair rukhsat-o-beghair marz iftar kia to zamanah bhar ka rozah us ki qaza nahi ho sakta agar che baad mein rakh bhi lay. Ab kisi tarah nahi pasakta. Lehaza hamein har giz har giz ghaflat ka shikar ho kar be ghair sahi majburi ke baaz awqat tor dalte hain woh zel ki hadees bar bar parhain aur Allah taala ke qehar ghazub se khub darain. Hazrat Syadana Abu Umamah Bahili(R.A) farmate hain mein ne sarkar madinah sarwar-e-qalab-o-sinah (SAW) ko yeh farmate suna keh main soya hua tha to khuab mein do shakhsh mere paas aaye aur mujhe aik dushwar guzar pahar par le gaye. Jab mein pahar ke darmiyan hissah par puncha to wahan bari sakht aawazain aarahi thi’n. to mein ne kaha keh yeh kaisi aawazain hain? To mujhe bata ya gia keh yeh jahanmiyon ki aawazain hain phir mujhay aur aagay le jaya gia to main kuch aise logon ke paas se guzra keh un ke takhnon ki ragon mein baandh kar ulta latka ya gia tha aur un logon ke galpharay phar diye
This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
0 comments:
Post a Comment