Ba jAma'aT naMaZ

Ba Jama'at Namaz

Men should pray bajamait. Here is describing about benefit of bajamait namaz.


Ba Jamat Namaz kay Fazail:

Allah taala ke fazal-o-karam se jahan be shumar inaam ata huye hain unhi inamaat mein se namaz bhi bila shubah Allah ka azeem-ul-shan inaam hai. keh is mein Allah ne hamare liye donon jahan ki bhalaiyan rakh di hain. Nez isi tarah jamat-e-namaz ki dolat bhi koi maamuli inaam nahi, yeh bhi hamare liye be shumar nekiyan hasil karne ka zareeyah hai. lehaza jamait ke fazail biyan kiye jate hain. Allah taala Quran majeed mein irshad fermata hai.

“Aur ruku karne walon ke sath ruku karo”.

Irshad farmate hain, jo koi Allah taala ke liye 40 din takbeer aola ke sath bajamayat namaz parhe. Us ke liye do aazadyan likh di jayain gi. Aik naar se dusri nefaaq se.

Pachon namazain ba jamayat ada karne wale ke liye har aik namaz ke juda juda azeem-us-shaan fazail par mushtamil rawayat;

Jab momin mard namaz-e-fajir ba jamayat ada karta hai to Allah taala us ke liye har rikat ke ewaz 12 siddiqon ka sawab nama-e-amaal mein darj fermata hai. Agar yeh shakhs zuhar ke waqt tak inteqaal kar jaye to dunya se shaheed uthe ga.

Zuhar ki namaz ba jamayat ada karne ke liye us ke har har hurf ke badle dheron nekiyan aur us par lazawal inaamat ki barish hoti hai. Zuhar ki namaz bajamayat ada kare to Allah taala har rikat ke ewaz 10 siddiqon aur 12 shaheedon ka sawab us ke namah amaal mein darj fermata hai. Agar yeh shaks asar ke waqt tak mar jaye to shahadat ka rutbah paye ga.

Asar ki namaz jamayat ke sath ada kare to har rikat ke badle parhaiz garon ka sawab aur hajiyon aur umrah karne walon ka ajar us ko mile ga. Agar yeh shakhs waqt-e-maghrib tak mar jaye to shaheed hoga aur jab namaz maghrib jamayat ke sath parhe to Allah taala har rikat ke badle ahle-khushu ka sawab aur 12 muqarrab farishton ka ajar use enayat farmaye ga. Agar yeh shakhs waqt isha tak mar jaye to shaheed hoga.

Aur jab isha ki namaz jamayat ke sath parhe to Alllah taala har rikat ke badle salkeen ka sawab aur 12 ulmaye ba-amal saheb taqwa ka ajar use bakhshe ga. Agar yeh shakhs us raat mar jaye to shaheed hoga.

aur jab namaz witr khua namaz-e-isha ke sath mila kar ya raat ke pichle hisse mein neend se bedar ho kar ada kare to Allah taala har rikat ke badle mein 100 ghulam aazad karne ka sawab aur 100 haj ka ajar use marhamat farmaye ga. Aur phir is qadar sawab mile ga keh goya us ne 100 raatain raat bhar ibaadat ilahi mein jaag kar basar ki hain. Agar subha tak yeh shakhs mar jaye ga to shaheed hoga.

Aur jis waqt tahajjud ki 12 rikatain 6 salam ke sath ada kare to Allah taala us ko qiyamat ke din qabar se sabireen ke zamrah mein uthaye ga aur us ke hisab mein takhfeef hogi.

Dua: Allah hamein rozanah pancho waqt takbeer-e-ula ke sath bajamayat namaz ada karne ki sayadat naseeb farma. Aur hum mein se jin jin ki qaza namazein baaqi hain un ko jald tar qaza umri ki tofeeq ata farma aur takhair se parhne ka guna bhi muaaf karde aur hum se sad ke liye raazi ho ja hamari aur hamare waldain ki aur sari ummat ki maghfarat farma. (Ameen).

posted from Bloggeroid

About M Yaseen Khan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 comments:

Post a Comment