DuaaaA ki FaZeelaT

             Dua Ibadat ka Maghaz Hai:                    



Prophet Mohammad said that the root of worship is Dua. Supplication is marrow of worship (Dua ibadat ka maghaz hai) . God is angry with them who does not supplication. Manners of prayer. Make ablution. Be cleansed. Recite Durood Shareef Before Dua. Raising both hands. Keep both hands open. Must in Qibla direction.
Dua ki Fazilat
Donon jahan kay sarwar kainaat Hazrat Muhammad (S.A) farmate hain
“Dua ibaadat ki jar hai” nez farmate hain
“ Dua ibadat ka maghaz hai”
“jis kay liye Dua ka darwazah khul jata hai is kay liye rehmat kay darwaze khul jate hain.
“jo Allah se Dua nahi karta Allah is par ghussah hota hai.”
“Allah tala kay nazdeek Dua se ziadah koi cheez b izzat nahi.”
Dua kay sewa koi cheez tqdeer (bala) se bhi faidah deti hai jo naizl ho chuki hai aur is is se bhhi jo abhi nazil nahi hoyi pas khuda kay bandah o Dua ko lazim pakaro
“ be shak tumhara khuda bara haya dar sakhi hai haya fermata hai jabkeh is ka koi bandah Dua kay liye apne donon hath uthaye to in ki khali pher de. Dua momin ka hathyar hai, deen ka saton hai, aasman zameen ki roshni hai.
Dua ke Adaab
Aadab Dua mein baaz ko rukniyat ka darjah hasil hai aur baaz ko shart ka aur in kay elawah kuch aise hain jin kay kay karne ka hokum dia gia hai (mamoorat) aur kuch aise hain jin kay karne se roka gia hai. (muheyat ) yeh sab aadab 43 hain in ko baghor barhein aur in par amal karne ki koshish karein. insah Allah maqsood hasil hoga.
Khane, pine, pehanne aur kamane mein haram cheezon se bachna .
Iklaas ki kisi qisam ka dekhlawa na ho.
Dua se pehle kuch nek amal karna aur sakhti kay waqt apni ki huyi neki yaad karna.
Paak o saaf hona yani janabat aur nijasat se paak hona.
Wazoo karna
Qiblah ki taraf munh karna
Dua se pehle namaz parhna
Do zano baithna.
Dua kay auwal o aakhir Allah tala ki hamd o sana karna
Dua se pehle Darood Paak parhna
Donon hathon ka uthana.
Donon hathon ko khula rakhna.
Dua mangte waqt ba adab rehna.
Aajzi karna
Aajzi kay waqt zillat o miskinyat ka izhar karna.
Dua kay waqt apni nigah aasman ki taraf na uthaye.
Allah tala se is kay asma zati o sifati ka wastah de kar mange.
Dua mein ba taklluf kafyah bandi se par haiez karna.
Dua mein khushali kay sath gana na gaye.
Anbiya kay wasilah se Dua mange.
Allah tala kay nek bandon ka wastah de.
Aawaz past karna.
Guanah ka aitraaf karna.
Rasool pak (S.A) ki sahi Duaon ka tarika ikhtiar karna .
Jama Duayein ikhtiyar karna.
Apni zaat se Dua ki ibtida kare aur apne waldain aur momin bhaiyon kay liye Dua kare.
Agar Imam ho to tanha apne liye Dua na mange.
Azam o yaqeen kay sath Dua mange.
Intehayi raghbat o ishtiyaq se Dua mange.
Koshish o mehnat se hazoor qalb kay sath teh dil se Dua kare aur achi umeed rakhe
Aik hi Dua bar bar mange.
Aik di Dua kay bar bar parhne ka adna darjah kam az kam teen bar kehna hai.
Dua mein alhad aur mbalgha kare.
Gunah aur qata rehmi ki Dua na kare.
Jo cheez azal se ho chuki hai is ki Dua na kare. Maslan lamba aadmi thikna hone ki Dua na kare.
Maadoom aur mahal amar kay bare mein Dua na mange. Maslan yeh kahe keh aye Allah Aasman ko niche zameen par karde.
Rehmat khuda wandi ko tang na kare, maslan yeh kahe keh aye khuda mujhe baksh aur kis ko na bakhs.
Dua karne aur sunne wale aameen kahein.
Dua se farigh hone kay baad apne donon hath munh par pheir lein.
Is qadar jaldi na kare keh qaboolyat mein der samjhe ya yeh kahne lag jaye keh mein ne Dua ki thi qabool na huyi.
Dua ki Qabooliyat
Jin waqton mein Dua qabool hoti hain vo yeh hain.
Shab e Qadar
Arfah ka din.
Ramzaan ul Mubarak ka mahinah aur jumrat .
Aadhi raat aur aadhi raat ka aakhir aur tehayi raat.
Sehri kay waqt
Dua kay qabool hone ki halatein. Dua in halat mein qabool hoti hai.
Namaz ki aazan kay waqt


About M Yaseen Khan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 comments:

Post a Comment