Islamic articles

Sajdah-e-Sahw

Some time when we forget in pray namaz then should be sijdah sahw. Here is describe about sijdah sahu, when it should be done and how to it will be done, its method is discuses in below.





Sijdah Sahw:

Kisi wajib ke choot jane ya wajib ya farz mein takhir yani ( der hojane ya kisi farz ko is ki jagah se hata kar pehle kar dene ya kisi farz ko do bara ada kar dene se sijdah sahu wajib ho jata hai aur is se bhul ki talafi ho jati hai. Agar qasadan aisa kare to sajdah sahu se kaam na chale ga balkeh namaz ka dohrana lazim hoga. Aur agar koi farz choot jaye to is ki talafi sijdah sahu se na hogi.

Tareeqa Sijdah Sahu:

Sijda-e-sahu ka tareeqa yah hai keh aakhir rikat mein abdohu wa rosulohu tak at-tahyat parh kar dahini taraf salam phir kar do sijda kare, har martabah sijdah ko jate huye Allahu Akbar kahe aur donon sijde kar ke baith jawe aur do barah puri at-tahyat aur is ke baad darud shareef aur dua parhe pir dono taraf slaam phair de.

Namaz-e-Qasar:

Jo shakhs 48 mile ke safar ki niyat se apne shehar ya qasbah ya basti se nikal jaye is ke liye wapis aane tak zuhar, asar aur isha ki farz namaz char rikat ke bajaye do rikat rah jati hai. han agar safar mein kisi jagah 15 roz ya is se ziadah theharne ki niyat kar le, to puri char rikatain parhna farz ho jata hai. 48 mile ka safar khua paidal kare khua train se khua airplane se khua aur kisi sawari se sab ka yahi hukam hai jo oper zikar hua hai.

Niyat Namaz-e-Qasar:

Niyat karta hon do rikat namaz qasar ki waqt zuhar ( ya asar ya isha) ka waste Allah taala ke zukh mera kaaba shareef ki taraf Allah Akber

Note: Qasar sirf zuhar, asar aur isha ke farzon mein hai. maghrib aur fajir mein nahi. Aur farzon ke elawa aur kisi namaz mein bhi qasar nahi hai.

Musafir aadmi agar aise imam ke piche namaz parhe jis ke liye qasar jaiz nahi to musafir ko bhi is ke sath puri namaz parhni hogi.

posted from Bloggeroid

About M Yaseen Khan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 comments:

Post a Comment