ShaB-e-qadar

Lailatul Qadr


Any one of 21, 23, 25, 27 and 29th nights of Ramazan is Laila-tul-Qadr. Revelation of Holy Quran began in any one to these nights and was completed also in any one of these five nights. We are required to search that night by praying to God throughout these nights. You can read in this page lailatul qadr in urdu, lailatul qadr, lailatul qadr hadith, signs of lailatul qadr, lailatul qadr prayer, lailatul qadr dua and lailatul qadr surah.




Shab e Qadar ki Fazilat:


Lailatul Qadr intehayi barkat wali raat hai is ko Lailatul Qadr is liye kehtay hain keh is raat mein saal bhar kay ahkam nafiz kiye jatay hain. Yani farishtay registers mein aaindah saal honay walay muamlaat likhtay hain.

Isi shab Hazrat SyedanaIsa (A.S) aasman par uthaye gaye.

Isi raat nabi hazrat Israel (A.S) ki tobah qabool huyi.


Saheb e muzahir haq naqal kartay hain, isi shab farishton ki paidaish huyi.

Isi raat Hazrat Syedana Adam (A.S) ki takhleeq ka saman jama hona shuru hua.

Jjannat mein darakht bhi isi raat lagaye gaye.

Bukhari o muslim ki hadees mein hai keh jis nay is raat mein iman o ikhlas kay sath shab bedari kar kay ibadat ki Allah tala us kay saal bhar kay gunah bakhsh deta hai. Lehaza is moqaddas raat ko har giz har giz ghaflat mein nahi guzarna chahiye. Is raat ko ibadat tobah o istaghfar ki kasrat kay sath karna chahiye. Is raat mein ibadat kanay walay ko aik hazar mah yani 83 saal 4 mah say bhi ziadah ibadat ka sawab ata kia jata hai. Yeh Allah ka khas ul khas karam hai keh yeh azeem raat sirf apnay pyaray Habeeb Hazrat Muhammad (S.A) kay sadqay mein aap ki ummat ko ata ki gayi hai.

Allah Quran Pak mein irshad fermata hai:





Allah kay naam say shuru jo buhat mehrban rehmat wala hai.

Bay shak hum nay isay shab e qadr mein utara aur tum nay jana kia shab e qadr? shab e Qadr hazar mahinon say behtar. Is mein farishtay aur jibrael (A.S) utrtay hain apnay rab kay hokum say har kaam kay liye woh salamti hai. Subah chamaknay tak.

Shab e qadr kis qadr ahum raat hai keh is ki shan e mubarakah Allah nay puri aik surat nazil farmayi hai.

Is raat ki kayi khasusyaat irshad farmayi hain.

Mufsareen karam isi surah Qadr kay zaman mein farmatay hain keh is raat mein Allah tabarak o tala nay Quran majeed ko loh mehfooz say pehlay aasman par nazil farmaya aur phir taqreeban 33 saal ki muddat mein apnay pyaray habeeb (S.A) par isay batadreej nazil kia. Is raat ki ibadat ko aik hazar mahinon ki ibadat say bhi afzal qarar dia gia hai.


Moulana Tariq Jameel Sab explains "laila tul qadar"



                   

About M Yaseen Khan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 comments:

Post a Comment