Youm e Ashura:

                        Youm e Ashura:                             


Muharram is the first month of the Islamic lunar calendar. Ashura means "tenth" in Arabic language. On the tenth day of Muharram in the Islamic calendar is called "Ashura". Ashura is a day of great historical significance. Allah saved Prophet Moses and his followers from the tyranny of Pharaoh on this day. Imam Hussain the beloved grandson of Prophet Muhammad was martyred at the hands of an army acting under the orders of a despotic ruler named Yazid. Hazrat Isa (A.S) was raised to Jannah. Hazrat Ayyub (A.S) was restored to health. Allah Taala spoke directly to Hazrat Musa (A.S) and gave him the Commandments.



  

               Youm e Ashura ki Fazeelat:                  


Aik hadees Mubaraka mein Rasool Akram (S.A) ka Irshad Pak hai keh ashura ka roza rakhna guzashta aik saal ke gunahon ka kuffarah hai. Hazrat Ibn e Abbas se rawayat hai keh Rasool Rehmat (S.A) Madina tashreef laye to Yahood ko roza rakhte dekha, aap (S.A) ne farmaya keh tum is din roza kiun rakhte ho? Inhon ne kaha is din Hazrat Musa aur in ki Qoum ko Allah Tala ne nijaat ata farmayi aur Firon aur is ki Qoum ko gharq kia. Aap (S.A) ne farmaya “hum tumhari nisbat Hazrat Musa se ziadah qurbat rakhte hain, chunan cha aap (S.A) ne roza rakha aur Sahaba Karam ko bhi roza rakhne ki hidayat farmayi.
Yun to Muharram ul Haram ka poora mahina hurmat o azmat wala hai, magar Das Muharram ul Haram (Ashur) ko aik khas azmat se nawaza gia, sab se pehli baat to yeh hai keh is din ke roze ko Allah ke Rasool (S.A) ne guzashtah saal ke gunahon ka kuffarah farmaya, chunancha aap (S.A) ne is din roze ka ahtamam farmaya. Islam wo deen hai hai keh jis mein is ke manne walon ki apni alag shanakht hai. aap (S.A) ke pardah farmane se pehli jo yom ashurah aaya, aap (S.A) ne farmaya keh hum ne do rozon ka ahtamam kia. Yom ashur ki wajah tsmiyah ulma ne mukhtalif biyan farmayi hai, magar ghalib baat yeh maloom hoti hai keh Muharram ul Haram ke poore maah ko hurmat wala mahina qarar dia gia, lehaza das Muharram ko Ashur (yani das’wan din) kaha gia.
Is din ki buzurgi ko poore mah ke dinon me izzat bakhshi , apne paighambaron par inayatein farmayein aur is din Allah Tala ne Aasmano, Zaminon, Paharon aur Samandaron ko paida kia.

Hazrat Aadam (A.S) isi din paida huye, hatta keh loh qalam bhi is din wajood mein aayi.

Hazrat Ibrahim (A.S) ki paidaish bhi Youm-e-Ashur ko huyi.

Hazrat Aadam (A.S) ki tobah isi din mqbool huyi.

Firon se Hazrat Musa (A.S) ki Qoum ko nijat mili.

Kashti Nooh (A.S)isi din Pahar par tehri.

Hazrat Yunus (A.S) isi din Machli ke pait se bahir aaye.

Hazrat Isa (A.S) ki paidaish huyi.
Hazrat Daud (A.S) ki tobah qabool huyi.

Hazrat Ayyub (A.S) ki tkleef door huyi.

Is din Allah Tala ke raham o karam ka ata hona hi is ki fazilat ka bais hai.

Is din yani Ashura ko Qayamat barpa hogi.

Isi din (yani Youm-e-Ashur) Aasman se pehli barish huyi, yeh hai Youm-e-Ashur ki azmat o fazeelat. Sarkar do aalam (S.A) ne farmaya jo shakhs is din apna dastar khuan wasi karta hai farakh dili se Allah Tala pura saal is ke rizq mein kushadgi fermata hai.
Nawasa Rasool Hazrat Imam Hussain ko shahadat ke azeem rutbe se sarfaraz farmaya, be shak Allah Tala ne in ki shahadat ke liye yeh din ata farmaya keh jis din ki azmat aur buzurgi digar dinon se hurmat wali hai. Aaj jab poori dunya Islam ke khelaf saf aara ho chuki hai, in halat mein zaroorat hai keh aswah shabbiri par amal pera hote huye himmat aur jurat ka muzahirah karein. muashre mein Qayam e Amn, rawadari aur tahammul o bardash ke faroogh ke liye aswah shabbiri par amaml pera hote huye firqah warana hum ahangi aur dini o milli yagangat ko farogh dia jaye. Allah Tala hum sab ko is din ki azmat ko samjhne aur sunnat e Rasool ke mutabiq roze rakhne ki tofeeq ata farmaye...




About M Yaseen Khan

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 comments:

Post a Comment